What are you searching?

Friday, April 23, 2010

AAgosh mein

Tanhai jab aawaz lagaati hogi…
Yaad use bhi meri sataati hogi…

Meri nazroN se girte aansuN…
Wo bhi palkeN bhigaati hogi…

AaheN gar in hoNtoN pe saji…
Uski hanshi shor machati hogi….

Andhera bhar meri rahoN mai…
Apne roshan diye bujhati hogi..

Bana bebasi ko mustakbil*mera….
LakeereN apni bhi mitaati hogi…


Taras raha maiN ek deedar ko…
Wo bhi nazroN ko bichati hogi…

Marta huN maiN pal pal jee kar…
Ruh wo bhi khud ki dafnati hogi …

Mere arman kisi keemat ke nahi…
Tamaam arzoo wo bhi jalati hogi…

RouN chahe karke ‘saccha_pyar’…
Bewafa mujhe sabko batati hogi…

Ab mushkil ho raha jagna mera…
NeeNd ki agosh mai wo jati hogi…

No comments:

Post a Comment